Dard itna tha kay us raat - Faiz Ahmed Faiz

Posted by عمار - aMmAr | Posted in Rekhta, videos | Posted on 15-11-2011-05-2008

2

Dard itna tha k us raat

Dil-e-wehshi nay

Her rag-e-jaa.n say ulajhna chaha

Her bun’e mu say tapakna chaha

Aur kahi.n duur teray sehn’e chaman mein goya

Patta patta meray afsurda lahu mein dhul ker

Husn-e-mahtaab sai aazarda nazar aanay laga

Meray virana-e-tan mein goya

Saray dhuktay huay raisho.n ki tanabain khul ker

Silsala waar pata dainay lagi.n

Ruksat-e-kaafla-e-shauk ke tyaari ka

Aur jab yaad ke bujhti hui shammo.n mein nazar aaya kahi.n

Aik pal aakhri lamha teri dildari ka

Dard itna tha kay us say bhi guzarna chahaa

Hum nay chahaa bhi magar dil na thehrna chahaa

Popularity: 13% [?]

Comments posted (2)

love you man thanks for sharing love faraz

[...] Dard itna tha kay us raat – Faiz Ahmed Faiz [...]

Write a comment